Munir Niazi passed away yesterday

, he was one of the famous urdu/punjabi poet of Pakistan. I got one of his popular poem , let me share it with u...
hamesha dair kar deta hun mein , har kam karnay mein
zarori baat kehni ho koi wada nibhana ho
usay awaz deni ho , usay wapis bulana ho
hamesha dair kar deta hun mein....
madud karni ho uski yaar ki dharas bundhana ho
bahut darina raston per kisi say milnay jana ho
badultay mosmon ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhol jana ho
hamesha dair kar deta hun mein....
kisi ko moat say pehlay , kisi gham say bachana ho
haqiqat aur thi kuch , uss ko jaa kay ye batana ho
hamesha dair kar deta hun mein ,